Category: Ghazal Sms


Advertisement

Irada jo b krta hon bil akhir

Irada jo b krta hon bil akhir tor deta hon,

Me apny apko mushkil men tanha chhor deta hon.

Hunar ab aa gya mujh ko wafaon k prakhny ka,

Dikhawy ki hr ek chahat me wapis mor deta hon.

Najany zid hy ye kesi anaa men or mohabat men,

Taluq torta hy wo me phir se jor deta hon.

Wo lamhy uski qurbat k mujhy jb yad aty hen,

Phir apny sabar ka daman b aksr chhor deta hon.

Olajhti hy kahani jb wafaon or jafaon ki.

Kmal-e-zabt se us ko nya ek mor deta hon.

Tere hath ki kaash main wo lakeer

Tere hath ki kaash main wo lakeer ban ja0on.

Kaash main tera muqadar teri taqdeer ban ja0on.

Main tujhay itna chah0on k tu bhool jaye har rishta.

Sirf main hi tere har rishtay ki tasweer ban ja0on.

Tu aankhain band kary to aaon main hi nazar.

Is tarha main tere har khawab ki tabeer ban ja0on..

Apni muhabat ka kuch haq ada kar do

Apni “muhabat” ka kuch “haq ada” kr do,

Hamary naam apni kuch “wafa” kr do,

Cgr ye “mumkin” nhi tere lye tu..!

Apni “yadoon” ko mujh se “juda” kr do,

Do bol “muhabat” k bol kr,

Meri “muhabat” ki aasan “raah” kr do,

Rafta rafta ja rha hon “mout” ki traf,

Mujhy “bachany” k lye “zindgi” ki “dua” kr do,

Aisa nhi kr skte agr tum tu,

“Hamesha” k lye mujhy dwniya se “Alwida” kr do.

Na me paas usko bula saka

Na me paas usko bula saka~~
~~Na me Dil ki baat bata saka ~
~~Wo hansi hansi me hi chal diya~~
~~K me hath tak na mila saka~~
~~yon hi sochta raha door tak~~
~~Magar usko kuch na bata saka~~
~~Ye maqam hi tha ajeeb sa~~
~~K me khud ko b na bacha saka~~
~~Wo juda huva to kuch is tarah~~
~~Koi rasam tak na nibha saka ~
~~Usay jana tha wo chala gaya~~
~~Usay aaj tak na bhula saka~~

Bikharti sham ki parchaiya’n

Bikharti sham ki parchaiya’n mujhy dy do

Tum apni sham ki tanhaiya’n mujhy dy do

Mn tum ko yaad kron aur tum chaly aao

Tum apny piyar ki sachaiya’n mujhy dy do

Mn doob jaoon tumhari udas aankho’n mn

Tum apny dard ki gehraiya’n mujhy dy do

Mom ki Tarah Pighlte howe dekha usko

Mom ki Tarah Pighlte howe dekha usko,

RUT jo Badli to Badalte howe dekha usko.

JANE kis Ghum ko Chupane ki Tamanna hay usy,

Aaj har Baat par Hanste howe dekha usko.

Wo jo Kanton ko bhi Narmi se Chuwa karta tha,

HuM ne Pholon ko Masalte howe dekha usko.

NAJANE wo Duaon mein Mangta hay kisse,

HAATH uthate hi Sisakte howe dekha usko.

PHIR Haath DUA K liay Uthaay hum ne,

JAB Muqaddar se Ulajhte howe dekha usko.

Wafa k rooth janay par

Wafa k rooth janay pr ghazal takhleeq hoti hy

Kbhi Sajan manany pr ghazal takhleeq hoti hy

Main lfzon k smndar me mila deta hun sochon ko

Phr unki yad anay pr Ghazal takhleeq hoti he

Mere andar jo Panchi qaid he sanson k zindaan me

Usi k pharphrany pr ghazal takhleeq hoti he

Chaman me rqs krti he saba jb phool k agay,

To un k muskurane pr ghazal takhliq hoti he

Muje ata nahi he shair likna 1 b lakin

Tumhari yad anay pr gazal takhliq hoti hy…

Kab tak raho gay aakhir yoon

Kab tak raho gay aakhir yoon door door hum se,.

Milna prray ga aakhir ik din zroor hum se,

Daman bachanay walay ye berukhi he kesi,

Keh do agar huwa he koi qusoor hum se.?

Hum chhor dain gay tum se yoon bat cheet karna,

Tum poochtay phiro ge apna qusoor hum se,.

Hum cheen lain ga tum se ye
shaan-e-benyazi,

Tum maangtay phiro ge apna Ghroor hum se..

« 1 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11 12 ... 52 »

Advertisement