Category: Ghazal Sms


Advertisement

Mohbbt phir mohbbt hai

.GHAZAL.
Kabhi khamosh betho ge kabhi kuch gungunao ge.
Main utna yaad aaon ga jitna mujhe bhulao ge.
Koi jab poch bethe ga khamoshi ka sabab tum se.
Bohot samjhana chaho ge magar samjha na pao ge.
Kabhi dunya mukmmal ban k aaye gi nigahon mein.
Kabhi meri kami dunya ki har ek sheh mein pao ge.
Kahin par bhi rahen ham tum mohbbt phir mohbbt he.
Tumhein ham yaad aaen ge hamein tum yaad aao ge

Phir Yaad Teri Aai

So Baar Chaman Mehka.
So Baar Bahar Aai.
Dunya Ki Wahi Ronaq.
Dil Ki Wahi Tanhai.
Yeh Raat Ki Khamoshi.
Yeh Aalam-E-Tanhai.
Phir Dard Utha Dil Mein.
Phir Yaad Teri Aai.
Is Alam-E-Veran Mein.
Kya Anjuman Araai.
Do Roz Ki Mehfil Hai.
Ek Umar Ki Tanhai.
Har Dard-E-Mohabat Se Uljha Hai Gham-E-Hasti.
Kya Kya Hamain Yaad Aaya.
Jab Yaad Teri Aai.

Chalo hum b Tumhary sath Chalain

Koi Suraj Jagay Dharti Par
Kuch Aisa Ho Yeh Rat Dhaly,
Koi Hath Me Thamay Hath Mera
Koi Le K MjKo Sath Chalay
Koi Bethay Mery Pehlo Me
Mere Hath Pe Apna Hath Dharay
Or poch k anso Ankhon Se
wo dheeray sy ye bat kahay,
Yon Tanha Safar ab Kat’ta Nahi
Chalo hum b Tumhary sath Chalain.

Mohabat say barh kar tum say

”Ye na samaj k bichra hon to bhol gaya hon tujhe !
”Tare hathon ki khoshbo mare hathon main aaj bhi hai !
”Ye or baat hai majboriyon ne nebhane na di dosti !
”Warna shamil sachai mari wafaon main aaj bhi hai !
”Mohabat say barh kar tum say aaqedat hai mujhay ay dost !
”Yon maqam tera boland sab doston main aaj bhi hai !
”Har lamha zindagi main mohabaten naseeb hon
tujhe !
”Shamil tu mari zindagi ki duaon main aaj bhi hai

AAj kyun itni jaldi subha hogai

Mohabbat hum ne ki jo ek khata hogayi
Ki wafa or zindagi saza hogayi
Wafa karte rahe hum ibadaton ki tarhan
Phir ibadat khud ik gunah hogayi
Kitna suhana tha safar jab sath thay hum
Phir kia howa kyun manzil juda hogayi
Koi chahat koi hasrat koi umeed nahi rahi
wo gaya to laga dunya fana hogai
Ye dua ki ke jise chahe wohi mile usy
Par ye dua apne liye bad-dua hogayi
Abhi kuch dair hoi usy yaad karte huway
Ye aaj kyun itni jaldi subha hogai?”

Mohabbat bhi ajab cheez

Mohabbat bhi ajab cheez banai hy Tu ny;

;*”A KHUDA”*;

Teri hi Masjid mein
Tere hi banday
Tere hi samnay
Rotay hein kisi Or k liye…

Zamen pe chal na saka aasman se B gya

Zamen pe chal na saka aasman se B gya

Katay jo per tu parinda
uraan se B gya

Kisi k hath se nikla hua wo teer hon Main,

“Hadaf ko choo na saka or kaman se B gya..!!”

Tabah kr gai Mujhe pakkay ghar ki khowahish,

Main apnay gaaon k kachay makan se B gya,,

phir pyar chupaty kyon ho

phir pyar chupaty kyon ho’,

Ashk ankhon mein mri dekh k roty ho
tum bhi..,

dil bhar aata hai to phir dil ko dukhaty kyon ho,.

In sy vabasta hai jab mera muqadar phir tum!

mery shaano sy ye zulf hataty kyon ho”

Roz mar mar k mujhy jeeny ko kahty ho,.

milny aaty ho to phir lot k jaaty kyon ho…!

« 1 ... 41 42 43 44 45 46 47 48 49 50 51 52 »

Advertisement