Ab waqt-e-judae hy mujy alvida keh do
Ab jane ka wakat hy mujhy alvida keh do
Me bakhsis ka zriya tha tumhari liye
Dil ro raha hy mgr ab alvida keh do
Tmhe afsos to hoga mere jane pr
aaonga lout k phr ab alvida keh do
Tumhary liye rhmt ki waja tumhari bakshish ka sabab
kr lo Khuda ko razi to mjhe ab alvida keh do
Me ne tmhe chalna sikha diya manzilon ka pata bata dia
Me na chal sakon ga tmhre 7 ab
alvida keh do
Alwida aliwda mahe Ramadan
Sab Ko Udaas Kr K
RAMZAN Ja Raha Hai,
Sab Per Luta K Apna
FAIZAN Ja Raha Hai,
Aaya Tha Ghar Hamare
Kismat Hamari Ban Ke,
Bheja Tha Jo Khuda Ne
Woh MEHMAAN Ja Raha Hai.
Alvada Alvada
MAH-E-RAMZAN.
Aslam o alkum
Ramazan Ka babarkat mahina Ab khatm hony wala hai
.
.
.
agar mai ney apko koi dukh dia ho to….
zara sochiye
Pehle ap ne hi koi panga lia hoga.
warna aisa to ho hi nahi sakta ke mere jaisa
Masom
Sharef
Samajhdar
Ba ikhlaq insan ap ke sath kuch kare
agar ap samajdar hein to mujhe sorry bol do..
Dil ka ma bohat acha hon shyad maaf ker don..
Batana mera farz tha Baqi aap ki marzi.
Talib-u-dua
Jisne bana dia her ghar ko gulistan…/
Chala jaega kuch dino ma ye mehman…//
Tohfe ma dey jaraha hay ye ‘EID’ sabko…!
(Alvida ! Alvida)
Mah-e -Ramzan.
Ay maah-e-Ramzan aahista chal,
Abhi kafi Qarz chukana hai,
“ALLAH” ko krna hy raazi,
Or gunaho ko bakhswana hy,
Kuch khuwab hain jin ko likhna hy,
Or tabiro ko pana hy,
Kuch log hen ujre dil wale,
Un dilo me pyar bsana hy,
Or khizan rasida angan me,
Khushyon ka deep jalana hy,
Kuch tauba krni baqi hy,
Or “RAB” ko hume mnana hy,
Jannat ka krna hy soda,
Dozakh se khud ko bchana hy,
Ay maah-e-Ramzan aahista chal,
Abhi kafi Qarz chukana hai.
Thori Si Ibadat Bht Sa Sila Deti He,
Gulab Ki Trha Chehra Khila Deti He,
MAH-E-RAMZAN me duao me hame b yad rkhna,
Kabi Kabi Choti Si Dua Arsh Hila Deti He.
~¤~Chala jaye ga ye Ashra e Rhemat aaj Hum se Juda ho kr~¤~
.
.
.
~¤~Mgr Jate Huwe Bhi Kitni Rhemat Barsa Raha Hai~¤~
SubhanALLAH.
“~Kabhi Zarorat Parey to AaWaz Dena Mujhy~”
,~”MERAY YAR”~,
.
.
.
Main bewafa Nahi jo
Aftari pe Aa NA Sakon.!;)
.-. .-.
‘-. .-’